Meri Tameer
Sadiyaan beet gein yuhi adhoora mehsoos karte karte
Na jaane kaun chhor gaya mujh ko tameer karte karte?
By; Abrar Gulshan
Na jaane kaun chhor gaya mujh ko tameer karte karte?
Kaha tha wajood ka malbah kisi koone main rakh dena
Warna umr lag jaaye gi meri zaat yakja karte karte
Mushkil to hargiz na tha qaid-e-maazi se niklna
Dar-e-maazi par hi pahncha har bar chalte chalte
Zameeroo ki adalat main jab hote hain fesle
Jeewan beet jate hain phir khud se larte larte
Mere khayal ki nagri bhi jese moom ke jesi thi
Har hasrat piglaa gey mere khoowaab jalte jalte
Bantne hoo zamaane ko jis ne ujaaloo ke tohfe
Kei aur chragh jalaey woh chragh bujhte bujhte
Aalam-e-mayoosi main umeedain zinda rakh Gulshan
Warna maar detti hain yeh umeedain marte marte
By; Abrar Gulshan