YAAD HUMAIN TUM KAR LENA…
Jab koi na ho paas tumhare yaad humain tum kar lena
Jab sara alam so jaye to yaad humain tum kae lena
Jab band ho aankh neend ki devi le tujhe aaghosh main
Jab khuwab suhana koi aaye yaad humain tum kar lena
Kya hai doori yaadain kya aur kya tanhai hai
Jab gali se guzre koi diwana yaad humain tum kar lena
Kehain chand kehain charagh aur kehain roshan shama
Jab jal mare koi parwana yad humain tum kar lena
Door talak na ho manzil aur na koi ho rasta
Jab khud se door hune lago yaad humain tum kar lena
Gar aakash ki rangeen chadar pe chamk rahe hoo do tare
Toot gire jab ik tara to yaad humain tum kar lena
Jate ho to jao tum tanha hum ko chhor ke
Na loto koi baat nehi par yaad humain tum kar lena
Jo doobne lago zeest ke is bhanwar main tum Gulshan
Barha ke aage apna hath yaad humain tum kar lena
A. Gulshan
2 comments:
fabullous poem as always :)
Yadon ka ek jokha aya humse milne aj barso baadh,
Pehele itna nai roye jitna aj roye barso baadh,
Lamha ghar ujra he mushkil se ehsaas hua aj barso baadh,
Pathar mare bohoth pehele shishe tute aj barso badh,
Humari duniya khak hui dil tuta ansu bahe aj barso badh,
Pyar kiya tumse mene aj barso baadh,kyu chordh gaye muje,
Aj hue akele phir barso badh
Post a Comment