MERE ALLAH

MERE ALLAH

LIFE.....

As I go through all kinds of feelings and experiences in my journey through life --
delight, surprise, chagrin, dismay --
I hold this question as a guiding light:
"What do I really need right now to be happy?
" What I come to over and over again is that only qualities as vast and deep as love, connection and kindness will really make me happy in any sort of enduring way.

Friday, November 2, 2007

DO SHAER.

@.Kisi se milne ki khushi na judai ka gham,
Hum ne begana kar diya hai khud ko apne se.

@. Jab koi dost kehta hai to dil kanp jata hai,
Kitni bar mila dard is dost se mujhe. !

Wednesday, October 31, 2007

KAHAN HO TUM?

KAHAN HO TUM?



Tere naqsh-e-pa pe chal kar main tujh tak aa to jata,
Ik tufan ja raha tha tera har nishsan~ mittata,


Main ne khud ko apne hathoon tere sath kho diya tha,
Mujhe apni khabr nai thi kese tujhe dhundh k lata,


Teri wafa pe hoon nisar meri zindagi k lamhain,
Mujhe mujh se kon bachata agar bewafa tu hota. !



Tera tassawor kabhi qatil aur hai kabhi masiha,


kabhi de mujhe amrat kabhi zehr hai pilata..!









Jis lamhain main Gulshan so bars tha mujko jeena

Us zindagi ke pal main tera saath kaash hota.......

Wednesday, October 17, 2007

ON LABNAN WAR.





Sadiyu k oraaq(pages) ulte par aesi tareekh nehi dekhi,
Tareekh main aj jesi tareekh nehi dekhi,
Mazlum kahan fariyad kare is ehd-e-sitam main,
Main ne duniya main insaf ki adalat nehi dekhi,
Ae zalmo gul-e-bejan(dead child) ki qba(body) se lipat kar,
Tum ne maa main dam torti woh mamta nehi dekhi,
Apne chehre ko ranga hai apne hi lahoo se,
Insaniyat to itni gunahgar nehi hoti,
Behis hue hum k apne bahi ki lash par,
Kisi ankh main kisi ne koi nami nehi dekhi,
kya zinda hai umat zara dekh to gulshan~,
Main ne akhoowat ki is main woh garmi nehi dekhi. !

Monday, October 15, 2007

BACHA DOR-E-HAZAR KA.



Har bacha dor-e-hazar ka ab uth k hum se puche ga,
Gun or goli k alawa virse main kya mile ga,
Khun ka qarz is k sar hum jo chor k jain ge,
Kal koi qatil koi bismel koi daar pe latke ga,
Mashal-e-dosti aj hum thama dain is k hath main,
Kal khun alooda khanjar ko ye hath nai lagaye ga,
Aj K is bache ko sulao aaghosh-e-amn main,
Kahain kisi dhamake main warna ye mar jaye ga,

Gulshan na hosh main aaye to yeh b apni kei nasalain,
AAne wali sadiyu tak jang k naan kar jaye ga. !

Tuesday, October 2, 2007

MERE KHAYALU MAIN.

Mere khayalu ki wadi main mere sath rehne wale,
Kyu chor gaya hai mujh ko beaas besahare,
Main dhund raha hu tujh ko apni soch k bhanwar main,
Meri aah ro rahi hai teri yaad k kinare,
Dekh zeest ka suraj b doob raha hai aakhir,
Sham dhalne se pehle ghar ko lot aane wale,
Kal sham koi gulshan tera pata puch raha tha,
Main ne kaha nehi phir milte jo hu zindagi se hare. !!

Monday, October 1, 2007

MAA KE NAAM

MAA

Tere jigar ka tukra hu main lot k aa jau ga,
Na karna koi mera gham main lot k aa jau ga,


Jab yaad meri ane lage shiddat se ae meri maa,
Keh dena bas aik bar main lot k aa jau ga,


Teri mamta tera piyar muje tarpata hai har pal,
Jo ghabrae ga ye dil main lot k aa jau ga,


Sare chen sare sukh sare jahaa ki kul khushiyan,
Sab kuch kar k tere naam main lot k aa jau ga,


Koun Jane zindagi kis ki kitni baqi hai Gulshan,
Gar hua naseeb main milna main lot k aa jaau ga. !!

PARDES JATE WAQT

Har kisi ko aakhri salam kar k main chala aya,

Ansu har ik ankh main chor k main chala aya,

Jald lot k aa jau ga yeh keh k main chala aya,

Apne kandhu pe apni lash le k main chala aya !

Sunday, September 30, 2007

Nakam musafir

@. Gulshan tu b ik qatra hai duniya k samundar ka,
Aur har qatra hai samundar baat aesi bhi nahi !

@ Kisi ki nehain apni khater lot aao Gulshan
kya khud se yoon kara hai khud ko juda koi. !
@jo karhi dhoop main dhoondhe kuch aasmanoo mai
kar sakta hai us k ghar main ujala koi. !

"PARDES KI EID" Poetry (Urdu Shayari)


PARDES KI EID.....
پردیس کی عید۔۔۔۔

Apne watan se door bethe yeh Eid b guzri hai,
Kya kahain kya batlain kese Eid ye guzri hai.


اپنے وطن سے دور بیٹھے یہ عید بھی گزری ہے
کیا کہیں کیا بتلا‏ئیں کیسے عید گزری ہے

Apni basti ka har chehra ghoom raha tha ankhu main,
Dhundli dhundli yaadoo main apni Eid yeh guzri hai.

اپنی بستی کا ہر چہرا گھوم رہا تھا آنکھوں میں
دھندلی دھندلی یادوں میں اپنی عید یہ گزری ہے
 
Jis tafr b uthi nazar surtain thi aghyaaoon ki,
Beech hajum main b tanha apni Eid heh guzri hai.

جس طرف بھی اٹھی نظر صورتیں تھیں ا‏‏غیاروں کی
بیچ ہجوم میں بھی تنہا اپنی عید یہ گزری ہے

Hum sukhn, hum zubaa, hum nuah koi na tha,
Gunge behroo ki tarha apni Eid yeh guzri hai.

ہم سخن، ہم زباں، ہم نوا کوئ نہ تھا
گنگے بہروں کی طرح اپنی عید یہ گزری ہے

Khushi khushi lote hoo ge log apne gharoo ko,
Pardes k is sehra main apni Eid yeh guzri hai.

خوشی خوشی لوٹے ہوں گے لوگ اپنے گھروں کو
پردیس کے اس صحرا میں اپنی عید یہ گزری ہے

Ab nehi to agli bar chale chalian ge apnoo main,
Isi aas k sahare apni Eid ye guzri hai.

اب نہیں تو اگلی بار چلے چلیں گے اپنوں میں
اسی آس کے سہارے اپنی عید یہ گزری ہے

AAj ke din mat chhero Gulshan is fasane ko,
Aese hi guzrani thi jese Eid ye guzre hai!!

آج کے دن مت چھڑو گلشن اس فسانے کو
ایسے ہی گزرنی تھی جیسے عید یہ گزری ہے

By, Abrar Gulshan
ابرار گلشن

Saturday, September 29, 2007

MERE DOST


Ae mere dost mere labu pe tere liye dua ke siwa kuch nai
Ae mere Khuda mere is dost ko
Mere tanha lamhu k sathi ko
Shafa naseeb farma apne habib k sadqe.

Popular Posts