MERE ALLAH

MERE ALLAH

LIFE.....

As I go through all kinds of feelings and experiences in my journey through life --
delight, surprise, chagrin, dismay --
I hold this question as a guiding light:
"What do I really need right now to be happy?
" What I come to over and over again is that only qualities as vast and deep as love, connection and kindness will really make me happy in any sort of enduring way.

Monday, December 1, 2008

FAREWEL POEM


KOI ATA TO KOI YAHAN JATA RAHE GA, ,
TERA KHALOOS HUMAIN SADA YAAD RAHE GA, ,

JAB BHI HO GI GARDASH-E-DORAN KI TAPTI DHOOP, ,
HUMARI DUAAOON KA SAYA TERE SATH RAHE GA, ,

KOI LE PAYA HAI KAHAN MAQAM KISI KA, ,
TERA NAAM YAHAN ZINDA-O-JAVED RAHE GA, ,

ZINDAGI MAIN HAR GAAM PE HOON KHUSHIYAN HAZARØON, ,
IN TAMANAAOON KA HAR GAAM PE TERA SATH RAHE GA, ,

KAHAN MILTE HAIN GULSHAÑ AESE LOG JAHAN MAIN, ,
AESE LOGOON KI MEHFIL KA INTAZAR RAHE GA. !!!!!

Tuesday, May 27, 2008

YAAD NEHI



YAAD NEHI

Tu mila tha kab kahan bichhra tha ab yaad nahi,
Tu mujh main tha ya main tujh main ab yaad nahi,
Naqab sadiyoon k ulte to tu nazar aaya,
Kese lamhoon ne tujhe gunwa diya ab yaad nahi,
Teri yaad ki bahar dil main aur aankh main sawan,
Tu mera geet tha ya koi ghazal ab yaad nahi,
Mangi thi Khuda se khud se milne ki dua tu ne,
Gulshan teri dua tujhe yaad hai k ab yaad nahi

Saturday, March 29, 2008

MERE KHAYAL


MERE KHAYAL

Mere khayaloo k khayal main ik khayal tera hai,
Is khayal main khayaloo ka khayal nehin rehta,
Dhundta rehta hoo tujhe aahat main kabhi dharkan main,
Kyu toote phoote hain darodiwar dil ke is tarha
Tere siwa to is ghar main koi aur rehte
Tu mera saya hai to mere sath kiyu nehin rehta,
Yeh zulmat-e-shab aur wehshi yadoo k darinde,
Gulshan teri tarha yoo jangal main koi nehin rehta. !

Thursday, March 27, 2008

DEHSHATGARDI

Barood ki boo hai Gulshan band rakho dareechoo ko,
Zindagi k aangan main dhamakoo ki aawazain hain। !

Monday, March 17, 2008

KHO JAO GAY...!

KHO JAO GAY
Duniya ki is bhir main tum b kehin kho jao gay,
Ab lot jaao tum apnoo main warna kehin kho jao gay,
Jalaye rakho wafa ka diya roshan hai jis se hayat,
bujh gai gar yeh shama to zindagi kho jao gay,
Jiski justaju main phirte ho muqadar k sehra main,
Woh na mila to qismat ki lakiroo main kho jao gay,
Sham hune se pehle pehle pahncho apni manzil pe,
Sham dhale o nadaañ Gulshan rahoo main kho jao gay. !

Thursday, January 10, 2008

GUZARISH....


GUZARISH
Mere dost
apni dharkan ko
iltaja ka roop dekar
apni har sans ki
iltaja o iltamas ko
yakja kar k
mangi thi main ne
har khushi teri
Main janta hu
tu kisi or k
daman ki kali hai lekin
phir bhi teri
bhini bhini khushboo
aati hai
gahe gahe
ghuli rehti hai
sansoon ki mehak main...
Tere aks k kuch khake
khayal k siyah khane main
rang bharte hain...
Mere dost...
dushman nehi hu
main apna
k apni dua ki qabooliyat ki
dua na karoon
ke yeh kali,
sada mehkti rahe
iski khushoo se
muatar ho
yeh jahaa sara
is ke aks
main
qos-e-qaza ka noor ho...
PAR
ik GUZARISH hai
ke agar kbhi
meri dosti bojh ban jaye
to hichkichana mat
keh dena k tum
zindagi k is warq ko
ulta dena chahte ho...
PHIR,
kabhi nehi dekhoo ga rah teri
kabhi na karo ga tujh se milne ki khuwahish...
Teri yaadoon ko
lapete
apne dil k boseeda labade main..
Teri duniya
Tere kooche se
kehain dooooor
bohot door chala jaaoon ga
itni door
janhan pahanch na paaye
Khayal tera...
IS GUZARISH
KI GUZARISH HAI...
JAB THAK JAAO.....
TO.....KEH DENA.!

Tuesday, January 8, 2008

KASH

AIK DOST ki walidah k intaqal par jab who pardes main tha,
Meri maa
kash ap keh deti
ajal se aik bar
abhi nahi yahan
mera munna mera lal
mere jigar ka tukra
woh mera dost hai
main uski raazdaan hoon
Aaj palat jaao
aa jane do
usko
aik baar dekh to le
woh mujh ko main usko
aakhri baar
diyar-e-ghair ko
waqt-e-rukhsat
woh bohot roya tha
gale laga kar
main b sarapa dua thi
us k liye....
KASH
Tum itna jan sako
k jab woh wapas aaye ga
to dhoonde ga muje
kabi yahan kabi wahan
kabi ghar k andar kabi baher
puche ga har kisi se
apne bhaiyoon se
apni behnoo se
.....kahan hain AMMI...
Koi nahi bole ga
par koi to lab khole ga
K TUMHARI MAA.....
....TooooT jaye ga...woh
yaad aaye ga use
jab bachpan apna
roz-e-awal se le kar
waqt-e-rukhsat tak
ik ik pal tarpaye ga usko
lot jaa tu aaj ae ajal
aa jana phir kabi
lot aane de
mere laal ko...
...Use apni ankhoon main
bsa loon to phir koi gham nehi....
KASH MAA....
Ap keh deti yeh sab
to mot b lot jati darwaze se....:
AUR... MAA
Ab jo main lot k aaoon ga
teri yaadian meri bebasi
meri majburi meri laachargi
meri badnaseebi
mere sath ho gi
kitni hasrat se
dekhain gi bebas aankhain
us raaste ko
jo ghar ko jata hai
us raaste pe kabi
mere nanne paoon
sharrart se uth'te the
tere qadmoon k sath
mere masoom haathoon ki
naazuk ungliyaan
tere dast-e-mehrbaan main
mehfooz samjhti thi
khud ko...
Kese utha paaoon ga
main apne qadmoon ko.....
Phir...
Teri yaad k sath sath
chal paroon ga
raaste k sab shajr
woh pathar woh boote
Dekhain ge mujh ko
sawaliya nazroon se
poochhain ge
akele kiyoon ho aaj....
Aur phir....
us ghar ka aangan
udas ho gaa mujhe dekh kar
sisak parain ge
dar-o-diwar
ro doon ga main bhi
unhain gale laga kar....
Bohot log aaian ge wahan
mujh se milne
mere daain baain
aage pichhe
koi khara koi betha
koi sofe pe
koi kursi pe
koi sehen main pari
chaarpai pe
par us hajoom main
nazar nehi aae ga
woh mamta bhra aanchal
jis k saae main
kuch der bethoon
apni jannat k pehlo main
kuch baatain karoon
kiya beeti
diyar-e-ghair main
aghyaaroon main.....
Us bhir main
meri nazrain
teri surat ki matlashi
shikwa karain gi
us matti se un hawaoon se
un khetoon se un khilyaanoon se.....
Roka kiyoon nehi...
Meri Maa ko...

Ro parhain ge tere gham main woh b mere sath
Ro pahain ge suraj chand aur sitaare mere sath
Tamam umar judai teri ka gham rahe ga mere sath
Main bhi maa tere gham ko lagaye rakhoon ga dil k sath..!


 By; Abrar Gulshan
                                                            



Tuesday, January 1, 2008

CHHOR GAYA..

Zulmatoon k shehr main woh mujhe tanha chhor gaya
Apne pichhe yaadoon k woh ik hajoom chhor gaya
Barsoo ka tha woh makeen mere dil ki basti ka
Kese har ik ghar main woh aag laga kar chhor gaya
Kaghazoo se baatain kar k aankh nam ho jati hai
Aesi kuch tehreerain apni pas mere woh chhor gaya
Kabi kabi bas yuhi Gulshan* dharkan dharkan tez ho jati hai
Chala gaya par apne qadmoo ki aahat woh chhor gaya. !

Popular Posts