MERE ALLAH

MERE ALLAH

LIFE.....

As I go through all kinds of feelings and experiences in my journey through life --
delight, surprise, chagrin, dismay --
I hold this question as a guiding light:
"What do I really need right now to be happy?
" What I come to over and over again is that only qualities as vast and deep as love, connection and kindness will really make me happy in any sort of enduring way.

Wednesday, November 18, 2009

KOUN JANE

KOUN JANE...Naseem-e-sub ke mast jhunke se
Sare Gulshan main bas ik shakh pe
Li angrai kisi ghunche ne
Muatar the sare chamn….
Khazaanzada ik Andaleed
Soch main doobi

Pehle to na thi aesi fiza
Aur aaj…
Yeh kon aaya kon hai kahan hai…
Urti phirti gati
Is dali kabhi us
Khushi ki mari
Who pagli diwani…
Aan bethi shakh-e-gul pe
Takmeel hui zindagi ki
Khushiyoo khuwaishoo
Armanoo ki…
Kis jahaa main kho gai

Koun jane

Sham ki surkhi
Rukh-e-gul aur
Who diwani….
Phir…..
Phir achanak
Lashaoor main
Kehin kisi goshe main
Kuch kho jane ka dar
Is samt kabhi us soo
Kuch aahatain kuch saaye
Aur Andaleeb
Kuch phir soche

Koun janeWho kya soche…….?


A. Gulshan


Monday, November 9, 2009

YAAD HUMAIN TUM KAR LENA…


YAAD HUMAIN TUM KAR LENA…

Jab koi na ho paas tumhare yaad humain tum kar lena
Jab sara alam so jaye to yaad humain tum kae lena

Jab band ho aankh neend ki devi le tujhe aaghosh main
Jab khuwab suhana koi aaye yaad humain tum kar lena

Kya hai doori yaadain kya aur kya tanhai hai
Jab gali se guzre koi diwana yaad humain tum kar lena

Kehain chand kehain charagh aur kehain roshan shama
Jab jal mare koi parwana yad humain tum kar lena

Door talak na ho manzil aur na koi ho rasta
Jab khud se door hune lago yaad humain tum kar lena

Gar aakash ki rangeen chadar pe chamk rahe hoo do tare
Toot gire jab ik tara to yaad humain tum kar lena

Jate ho to jao tum tanha hum ko chhor ke
Na loto koi baat nehi par yaad humain tum kar lena

Jo doobne lago zeest ke is bhanwar main tum Gulshan
Barha ke aage apna hath yaad humain tum kar lena


A. Gulshan

Saturday, November 7, 2009

BAS ITNA BTA DO

BAS ITNA BTA DO
Mian dekhti rahi
Apni khirki se pura chand
Chandani ko sath liye
Jese jahank raha ho
Mere kamre main,
Main gate se baher
Gali se guzrti garian
Har aik ko dekhti
Sochti yeh ruke gi
Ab horn ki aawaz aaye gi
Aane do unhain
Main nehin bolo gi khud se keht........
Ap nehi lekin
Thandi hawa ke jhunke
mujh ko chhote huwe
Kamre main hote rehe dakhil.....
Dheere dheere gariyan bhi kam hui
Mere intazar ki shama bhi madham hui
Chandani bhi kamra chhor ke chali gai
Chand bhi agle Safar pe chal diya
Phir…….
Phir subo ka Tara jalwagar huwa
Deep meri chahat ke bujhne lage
Aur main rote rote
Apne bistar se
Armanoo ki kaliyan chunti rahi
Ik ik lamhain main
Hazar motain dekhin
Mere jazboo ne
Latak rahi thi intazar ki sooli pe
Meri khuwahishoo ki barhana lashain
Kitne khayaloo ki aahatain
Darati rahi raat bhar
Khairiyat to hai
Phon bhi nehain kia
Yaaaa……
Ya kisi aur zulf-e-haseena------
Is aahat pe to kanp uth'ti

AB AAYE HO
TO KYA KAHOO...
KYA PUCHHOO …
KUCH NEHI……
BAS ITNA BTA DO
KE AAP
KAL RAAT KAHAN THE
…?



A.Gulshan

Popular Posts