MERE ALLAH

MERE ALLAH

LIFE.....

As I go through all kinds of feelings and experiences in my journey through life --
delight, surprise, chagrin, dismay --
I hold this question as a guiding light:
"What do I really need right now to be happy?
" What I come to over and over again is that only qualities as vast and deep as love, connection and kindness will really make me happy in any sort of enduring way.

Sunday, May 13, 2012

Beti...The Daughter





BETI....!!


Mujhy Itna Pyaar Na Do Baba,

Kal Janay Mujhey Nasib Na Ho...

Ye Jo Maatha Chuma Kertay Ho,

...Kal Is Per Shikan Ajeeb Na Ho...

Main Jab Bhi Roti Hoon Baba...

Tum Ansu Poncha Kertay Ho,

Mujhy Itni Dour Na Chhor Ana,

Main Roun Aur Tum Pass Na Ho...

Meray Naaz Othatay Ho Baba,

Meray Sar Ka Sayaa Ho Baba,

Meri Chhoti Chhoti Khahish Par

Tum Jan Lutatay Ho Baba...

Kal Aisa Ho Ek Nagri Main,

Main Tanha Tum Ko Yaad Karon ,

Aur Ro Ro Ker Feryaad Karon ...

Aye Allah Meray Baba Sa

Koi Pyaar Jtanay Wala Ho,

Meray Naaz Othanay Wala Ho...

Meray Baba Mujh Se Ehd Karo,

Mujhy Tum Chhupa Ker Rakho Gay...

Dunya Ki Zalim Nazroon Se,

Mujhy Tum Chhupa Ker Rakho Gay....!

Sunday, January 22, 2012

MERI TAMEER..


Meri Tameer

Sadiyaan beet gein yuhi adhoora mehsoos karte karte
Na jaane kaun chhor gaya mujh ko tameer karte karte?


Kaha tha wajood ka malbah kisi koone main rakh dena
Warna umr lag jaaye gi meri zaat yakja karte karte

Mushkil to hargiz na tha qaid-e-maazi se niklna
Dar-e-maazi par hi pahncha har bar chalte chalte

Zameeroo ki adalat main jab hote hain fesle
Jeewan beet jate hain phir khud se larte larte

Mere khayal ki nagri bhi jese moom ke jesi thi
Har hasrat piglaa gey mere khoowaab jalte jalte

Bantne hoo zamaane ko jis ne ujaaloo ke tohfe
Kei aur chragh jalaey woh chragh bujhte bujhte

Aalam-e-mayoosi main umeedain zinda rakh Gulshan
Warna maar detti hain yeh umeedain marte marte



By; Abrar Gulshan

Popular Posts